Showing posts with label Urdu Shayari. Show all posts
Showing posts with label Urdu Shayari. Show all posts
Thursday, May 19, 2016
Mana Ke Woh Khafa Rahe Honge
Mana ke mujhse woh khafa rahe honge!
Ho sakta hai woh mujhe aazma rahe honge!
Hum utni hi shiddat se yaad karenge unhein!
Jitni shiddat se woh hamein bhula rahe honge.
Yaadein Basa Ke
Pyar karo to hamesha muskura ke
Kisi ko dhokha na do apna bana ke
Kar lo yaad jab tak hum zinda hain
Phir na kehna ke chale gaye dil mein yaadein basa ke.
Woh Pal
Sukun milta hai jab unse baat hoti hai
Hazar raaton mein wo ek raat hoti hai
Nigah uthakar jab dekhte hain wo meri taraf
Mere liye wohi pal poori kaaynat hoti hai.
Kisi Na Kisi Pe
Kisi na kisi pe kisi ko aitbar ho jaata hai
Ajnabi koyi shakha yaar ho jaata hai
Khoobiyon se nahi hoti mohabbat sadaa
Kamiyon se bhi aksar pyaar pyar ho jaata hai.
Bahana Nahi Aata
Dil ka haal batana nahi aata
Kisi ko aise tadpaana nahi aata
Sun-na chaahte hain aapki awaaz
Magar baat karne ka bahana nahi aata.
Dil ka haal batana nahi aata
Kisi ko aise tadpaana nahi aata
Sun-na chaahte hain aapki awaaz
Magar baat karne ka bahana nahi aata.
Subscribe to:
Posts (Atom)